Poetry Sms & Text Messages
Poetry Sms in urdu and hindi
(1) Log kyun bas ke ujarty hain ka
Log kyun bas ke ujarty hain kabhi socha hai
Kis liye jaan sey guzarty hain kabhi socha hai
Kaise palkon ki larzti huwi mundairon par
!
Sainkron deep jalty hain kabhi socha hai
Go baharon mein chaman hoty hain Aabad magar
Phol pamali sey darty hain kabhi socha
hai
Rang chehray ka badal jata hai pal bhar ke liye
Log jab baat badalty hain kabhi socha hai
Na'rasai sey nahe marta koi, maan
liya
Dil mein Aaray sey jo chalty hain kabhi socha hai...?
(2) SAB KUCH TU TERE PASS HAI...Tu
SAB KUCH TU TERE PASS HAI...
Tu phir kiyon dil udass hai?....
Hai piyar bhi tere liye....
Khayal bhi tere liye....
Ye dil bhi tere pass
hai....
Tu phir kiyon dil udass hai?...
Main sochta hoon bas tujhe...
Main dekhta hoon bas tujhe...
Jab mujh pe etebaar hai...
Tu phir
kiyon dil udass hai?...
Hai zindagi tere liye Ye dil, khushi tere liye...
Ye sab jo tere pass hai...
Tu phir kiyon dil udaas hai?...
Too
neend main, tu khwab main...
Too mere dasht-o-aab main...
Har pal too mere saath hai...
Tu phir kiyon dil udass hai?...
Har simt hain gul
khile houe....
Hain dost bhi mile houe...
Har simt piyar hi piyar hai...
Tu phir kiyon dil udass hai?...
Ye dil, khushi or
etebaar...
Ye dost, khwab or ye piyar...
Sab kuch tu tere pass hai...
Tu phir kiyon dil udass hai?
(3) Mojhe lakh hoo Bhroossa mere d
Mojhe lakh hoo Bhroossa mere dil ka kyaa Thakanna
Kabhi Be-Niqaab ho ker mere Samne na anna
Sar-e-Bazm tum khuda-raa mojhe yuun na
azmanna
Meri simt eis adda say kabhi abb naa Muskuranna
Gam-e-Zindagi se mumkin naa huwa Nabaa-h mara
Yeh karam hia tere gam ka mojhe
ajnabi na janaa
Tere raaz ka Taha-faz mere bass mian aab nahi hia
Keh Nikhar kay hoo gai hia mri her Nazer faana
Yeh hanssi hanssi
nahi hia, yeh Faryaib hia hanssi ka
Na is say samjh saky tum, na samjh saka zamanaa
Koi taza hadasaa phir meri rah tak raha hia
Meri simt
uth rahi hia , woo Nigah-e-Dil-Baranna
Tere zakham ki yaad gaariya.n mre shair meri gazle.n
Teri eik nazer ka haasil mera zooq-e-shaayranaa
(4) Phir sey pyar ka dhoka khaya j
Phir sey pyar ka dhoka khaya ja sakta tha
Dil ka kya hai dil behlaya ja sakta tha
Kyun wapis na aya jaa kar wo janay
Lekin oske pas tou
jaya ja sakta tha
Gar na hota mom ki surat dil apna
Gham ke suraj sey takraya ja sakta tha
Aik tumhara sath agar mil jata tou
Sari
duniya ko thukraya ja sakta tha
Logon ney mujrim tehraya, maan liya
Aakhir kis kis ko samjhaya ja sakta tha
Ley douba jab ankhon ko
tufan batol
Kaise dil ka shehr bachaya ja sakta tha?
(5) Dil ka chup chaap nagar kaisa
Dil ka chup chaap nagar kaisa tha
Is mein saayon ka safar kaisa tha
Har koi ban ke falak is ko mila
Janay dharti mein asar kaisa
tha
Kal jo saaya tha wohi raakh hai aaj
Kachy Aangan ka shajar kaisa tha
Aarzou mit gai rafta rafta
Dard baki hai, amar kaisa
tha
Katt gai umer magar tay na huwa
Wo pur israar safar kaisa tha
Kar ke barbad ye pocha os ney
Tere khuwabon ka nagar kaisa tha?
(6)
Kabhi dharti pey sitaron ka
Kabhi dharti pey sitaron ka gumaan hota hai
Kabhi Aakash pey khaaron ka gumaan hota hai
Teri Aankhein kabhi sagar ki tarah lagti hain
Aur kabhi in pey kinaaron ka gumaan hota hai
Aik chingari sulagti hai kabhi seenay mein !
Kabhi saanson pey shararon ka gumaan hota hai
Tu agar bhol ke kochy mein mere Aa jaye
Tou khizaaon pey baharon ka gumaan hota hai..
(7) TANHA rehna seekh raha hoon Ma
TANHA rehna seekh raha hoon
Mar ke jeena seekh raha hoon
Mang ke paana seekh liya hai
Paa ke khona seekh raha
hoon
Sabar ko apni raah bana kar
Kaanch pe chalna seekh raha hoon
Phirte phirte sehra sehra
Pyas ko
peena seekh raha hoon
Jeeney ke hain ajeeb taqazey
Zinda rehna seekh raha hoon
(8) kaise woh laut aaye ke fursat
kaise woh laut aaye ke fursat osey nahe
Duniya samjh rahi hai mohabat osey nahe
"Lagta hai Aa chuki hai kami oski chah mein
Kafi dinon
sey mujh sey shikayat osey nahe"
Dil ki zameen oski hai banjar isi liye !
Jazbon ki barishon ki jo aadat osey nahe
Har cheez ikhtiyar
mein rakhta hai woh magar
Dil sey rihaai panay pe qudrat osey nahe
Sehra ke har warq pe hai tehreer oska naam
Kal tak jo keh raha tha ke
wehshat osey nahe.
(9) Rukh hawaon ka badalta he gaya
Rukh hawaon ka badalta he gaya
Pyar jab dil mein utarta he gaya
Jab saba ney kiya izhaar-e-wafa
Phol chup chaap bhikarta he
gaya
Aag bujhnay lagi jab seenay ki
Tou dhuwan aankh mein bharta he gaya
Aap ney sirf masihai ki
Dard kyun hadd se guzarta he
gaya
Jis ney bhi maanga mohabat ka silla
Dil ko hathon sey woh malta he gaya
Koi tofan tou aya he nahe
Shehr-e-jaan phir bhi
ujarta he gaya
Jis ney bhi ishq ki raahon ko chuna
Dasht aabad woh karta he gaya...!!!
(10) Aisa laga ke dard kisi ney gha
Aisa laga ke dard kisi ney ghata diya
Pathar jab oski yaad ka dil sey hata diya
Is wasty hai apni amawas sey dosti
Ye chand jab bhi nikla
hum he ko dagha diya
Hoty hain kuch asol judai ke bhi magar
Tum ney tou aik pal mein sab he kuch bhula diya
Kuch daiyr pehle khuwab
mein thay sath sath hum
Is khush-gawar neend sey kis ney jaga diya...
Go To Page >> [First] ... [2] [3] [4] [5] [6] [7] [8] [9] [10] [11] [12] [13] [14] ....[Last]
Post to Forum :
[URL=http://www.evergreensms.com/urdu_sms/110/Urdu-Poetry-Sms/8.html] Poetry Sms & Text Messages[/URL]
Post to Website - just copy paste following code :
<a href=http://www.evergreensms.com/urdu_sms/110/Urdu-Poetry-Sms/8.html> Poetry SMS & Text Messages</a>
Important Searches:
- Poetry sms in urdu
- Best Poetry Sms Collection
- Latest Poetry sms
- Pakistani Poetry sms in urdu
- Real Poetry sms in urdu
- Urdu Poetry sms for you
- Unique Poetry sms in urdu
- sending Poetry sms to pakistan


